Friday, 31 July 2015

Brothers song - Mera Naam Mary

Song: Mera Naam MaryMovie: Brothers (2015)Singer: Chinmayi SripadaMusic: Ajay-AtulLyrics: Amitabh Bhattacharya


Brothers song - Mera Naam Mary

 Heartbeat chaati mein
Dhak-dhak dhadkaaye re
Aye aye aye...
Kaaiku public ki
Takleef badhwaaye re
Aye aye aye...

Drame pachaas karte hain
Chhore ye mujhpe marte hain
Meri dhadkan ki galiyon mein
Lekin tere hi charche hain
Mera naam Mary hai
Mary sau takka teri hai

Mera naam Mary hai
Mary sau takka teri hai
Phir kis baat ki deri hai
Mary sau takka teri hai

Mere jazbaat ko kaahe footpath pe
Bhari dopehari paidal chalaaye
Ghoore dheere se kyun
Teri deewani ko agarbatti ke maafik jalaaye
Mujhe chhu le zara, jee le zaraa
Baahon mein kas ke, dabaa ke
Main kasam dun tumhe rakhungi kya
Joban ka beema karaake
Lattu hai.. mujhpe ye saare
Sau sau ke.. note kharche hain

Meri dhadkan ki galiyon mein
Lekin tere hi charche hain
Mera naam Mary hai
Mary sau takka teri hai

La la la..
Mera naam Mary hai
Mary sau takka teri hai
Phir kis baat ki deri hai
Mary sau takka teri hai

Haaye badi garmi hai re
Teri har baat mein
Aaja saanson ka AC chala dun
Hogi pardes ki pehalwani teri
Aaja do ghoont desi pilaa doon
Teri aankhein hai ya chumbak piya
Mujhko teri ore kheenche
Kabhi galti se tu seeti bajaa
Meri bhi khidki ke neeche
Auron mein.. kya buraari hai
Ye bhi to.. achhe ghar se hai

Meri dhadkan ki galiyon mein
Lekin tere hi charche hain
Mera naam Mary hai
Mary sau takka teri hai

ye ye ye..
Mera naam Mary hai
Mary sau takka teri hai
Phir kis baat ki deri hai
Mary sau takka teri hai


Brothers Song - Sapna Jahan

Song: Sapna JahanMovie: Brothers (2015)Singers: Sonu Nigam, Neeti MohanMusic: Ajay-AtulLyrics: Amitabh Bhattacharya


Brothers Song - Sapna Jahan


Sapna jahan dastak na de
Chaukhat thi woh aankhein meri
Baaton se thi tadaad mein
Khamoshiyan zyaada meri
Jabse pade tere kadam
Chalne lagi duniya meri

Mere dil mein jagah Khuda ki khaali thi
Dekha wahan pe aaj tera chehra hai
Main bhatakta huaa sa ek baadal hoon
Jo tere aasmaan pe aake thehra hai

Tu rooh hai toh main kaaya banu
Taa-umr main tera saaya banu
Keh de toh ban jaaun bairaag main
Kehde toh main teri maaya banu
Tu saaz hai, main ragini
Tu raat hai, main chandni

Mere dil mein jagah Khuda ki khali thi
Dekha wahan pe aaj tera chehra hai
Main bhatakta huaa sa ek baadal hoon
Jo tere aasmaan pe aake thehra hai

Hum pe sitaaron ka ehsaan ho
Poora, adhoora har armaan ho
Ek dusre se jo baandhe humein
Baahon mein nanhi si ik jaan ho
Aabaad ho chota sa ghar
Lag na sake kisi ke nazar

Mere dil mein jagah Khuda ki khaali thi
Dekha wahan pe aaj tera chehra hai
Main bhatakta huaa sa ek badal hoon
Jo tere aasmaan pe aake thehra hai


Wednesday, 15 July 2015

Raanjhanaa Song - Aise Na Dekho

Song: Aise Na DekhoMovie: Raanjhanaa (2013)Singer: A.R. RahmanMusic: A.R. RahmanLyricist: Irshad Kamil


 Raanjhanaa  Song -  Aise Na Dekho

Aise na dekho
Aise na dekho
Jaise pehle kabhi dekha hi nahi
Jaise pehle kabhi dekha hi nahi
Aise na dekho
Aise na dekho

Mujhe kuch bhi nahin chaahiye tum se
Na dilaasa, na bharosa
Na wah wah, na humdardi
Na sapna, na sahulat
Aise na dekho
Aise na dekho

Main unn logon ka geet
Jo geet nahin sunte
Patjhar ka pehla patta
Registaan mein khoya aansu
Yaa main guzra waqt nahin milunga
Nahin milunga ye sach, ye sach!

Aise na dekho
Aise na dekho
Jaise pehle kabhi dekha hi nahi
Jaise pehle kabhi dekha hi nahi
Aise na dekho, aise na dekho


Raanjhanaa Song - Nazar Laaye

Song: Nazar LaayeMovie: Raanjhanaa (2013)Singers: Rashid Ali, Neeti MohanMusic: A.R. RahmanLyricist: Irshad Kamil


Raanjhanaa Song -  Nazar Laaye


Maine haara, main tera saara main
Meetha meetha tu, haan khaara khaara main
Tera saara main, saara main (x2)

Sindoori rang suhagan saccha
Saccha re sarmaya jo paaya hai woh
Tu dil mein maahi aaya hai
Maine maahi paaya hai
Nazar laaye naa, koi nazar laaye naa

Dil ne shagun manaaya hai
Ishq parauhna aaya hai
Nazar laaye na, koi nazar laaye na
Nazar laaye jo tumko jal jaaye woh
Chaand le jug begana ho
Nazar laaye na..
Nazar laaye na..

Maine haara, main tera saara main
Meetha meetha tu, khaara khaara main
Tera saara main, saara main (x2)

Kaajal, teeka peeche kaanon ke
Nazaron ko roke re
Duniya deti laakhon hi dhokhe
Meethi si hoke re
Tamki main mirche varoon
Saari sharam utaarun
Maahi naa jug ko haarun
Kehta hai dil...
Kehta hai dil...

Maine haara, main tera saara main
Meetha meetha tu, khaara khaara main
Tera saara main, saara main...


Raanjhanaa Song - Ay Sakhi

Song: Ay SakhiMovie: Raanjhanaa (2013)Singers: Madhushree, Chinmayi, Vaishali, Aanchal SethiMusic: A.R. RahmanLyricist: Irshad Kamil


Raanjhanaa Song -  Ay Sakhi


Sa dha ni re aa..
Sa dha aa....

Bataao bataao hai kya ye saheli
Bataao bataao hai kya ye paheli (x2)

Haan, ay sakhi uljhan, kya sakhi uljhan
Aye sakhi uljhan, kya sakhi uljhan
Aye sakhi uljhan, kya sakhi uljhan

Tyaun tyaun...

Har dar saara badal hai jaata
Janam janam ka uss se naata
Ho.. kabhi hai baadi ho, kabhi swaadi
Kabhi hai baadi ho, kabhi swaadi

Ay sakhi saajan, na sakhi shaadi (x3)

Pe pe pe...

Chaahe to woh kar de andhera
Geela kar de tan mann mera (x2)

Main to sukhati ho viruda mann
Aye sakhi saajan, na sakhi saawan
Aye sakhi saajan, na sakhi saawan

Haaye, paas na ho bada sataaye, sataaye
Paas jo ho bada sataaye, sataaye!
Aas bulaye bina batalaaye, bataaye!
Paas woh aaye bina batlaaye, bataaye!
Paas rahe, nazar na aaye, naa aaye
Paas rahe, nazar lagaaye, lagaaye
Paas uske rahe khwahishein, khwahishein
Paas usi ke to hain khwahishein, khwahishein
Ho.. usi ke liye karo sau jatan
Aye sakhi saajan, na sakhi saajan
Aye sakhi saajan, haan sakhi saajan
Haan sakhi saajan, haan sakhi saajan..


Raanjhanaa Song - Piya Milenge

Song: Piya MilengeMovie: Raanjhanaa (2013)Singer: Sukhwinder Singh, Kmmc Sufi EnsembleMusic: A. R. RahmanLyricist: Irshad Kamil


Raanjhanaa Song - Piya Milenge


Ni Ni Sa Sa....

Jisko dhoondhe baahar baahar
Woh baitha hai bheetar chhup ke
Tere andar ek samandar
Kyun dhoondhe tubke tubke

Jisko dhoondhe baahar baahar
Woh baitha hai bheetar chhup ke
Tere andar ek samandar
Kyun dhoondhe tubke tubke
Akal ke parde peeche kar de..
Akal ke parde peeche kar de
Ghoonghat ke pat khol re
Tohe piya, piya
Tohe piya milenge, milenge, milenge..
Tohe piya milenge, milenge, milenge
Tohe piya milenge.. (x2)

Sa.. Sa Sa SaSa NiNi SaSa...

Paake khona, kho ke paana, hota aaya re
Paake khona, kho ke paana, hota aaya re
Sang saathi saa hai woh toh woh hai saaya re
Sang saathi saa hai woh toh woh hai saaya re

Daga tune ki na
Bas jee se jee mere
Bole seene mein woh tere dheeme dheeme re

Tohe piya milenge, milenge, milenge..
Tohe piya milenge, milenge, milenge..
Tohe piya milenge

Jisko dhoonde baahar baahar
Woh baitha hai bheetar chhup ke
Tere andar ek samandar
Kyun dhoonde tubke tubke
Hmmm...

Ash-HaduAll'laa ilaaha illAllah
Wa'ash-hadu anna Mohammed-ur Rasool Allah
Dha Ni...

Jo hai dekha, wohi dekha to kya dekha hai
Jo hai dekha, wohi dekha to kya dekha hai
Dekho woh jo auron ne naa kabhi dekha hai
Dekho woh jo auron ne naa kabhi dekha hai

Naino se na aisa kuch dekha jo hota hai
Naina meecho toh woh sab dikh jaata hai
Tohe piya milenge, milenge, milenge...
Tohe piya milenge, milenge, milenge...

Ni Ni Sa Sa...

Ussi ko paana, ussi ko chhoona
Kahin pe woh na, kahin pe tu na
Ussi ko paana, ussi ko chhoona
Kahin pe wo na, kahin pe tu na
Jahaan pe wo na, wahaan pe soona
Yahaan pe soona...

Tohe piya milenge, piya milenge, milenge
Tohe piya milenge, milenge, milenge....


Raanjhanaa Song - Banarasiya

Song: BanarasiyaMovie: Raanjhanaa (2013)Singer: Shreya Ghoshal, Meenal Jain, Anwesha Datta GuptaMusic: A. R. RahmanLyricist: Irshad Kamil


Raanjhanaa Song - Banarasiya

Haa... oye oye oye Banarasiya
Haaye Bana rasiya
Aa... Banarasiya haaye Bana rasiya
(Banarasiya Bana Rasiya meaning:
The inhabitant of Banaras has become a romantic)


Rang mein bhang yaa bhang mein rang
Banarasiya... haaye Bana rasiya
Sang mein jung yaa jung mein sang
Banarasiya... haaye Bana rasiya

Haan.. haan.. haan.. 
Haaye Bana Rasiya
Haaye Banarasiya
Aa... Bana Rasiya

Chaal chalaaki, har hoshiyari jaanat
Yun to sab nar-naari
Chaal chalaaki har hoshiyari jaanat
Yun to sab nar-naari
Mann ke par bhole bhandari
Mann ke par bhole bhandari

Ghaat kinare umar guzaari
Ghaat Banarasiya...
Haaye ghaat Banarasiya
Ghaat Banarasiya...

Thaathon mein thaath Banarasiya
Haaye haaye thaath Banarasiya
Thaathon mein thaath Banarasiya
Thaathon mein thaath Banarasiya
Thaath Banarasiya!
Haan haan haaye haaye thaath Banarasiya

Rang mein bhang yaa bhang mein rang
Banarasiya.. haaye Banarasiya
Sang mein jung yaa jung mein sang
Banarasiya.. haaye Banarasiya

Rang mein bhang yaa bhang mein rang
O Sang mein jung yaa jung mein sang
Rang mein bhang yaa bhang mein rang
Banarasiya..
O Sang mein jung yaa jung mein sang
Banarasiya..
Haan haan haan aa.. Banarasiya
Haaye.. Bana Rasiya

Turat-furat mein sab kar jaavein
Aayi pe jo apni aave
Turat-furat mein sab kar jaavein
Aayi pe jo apni aave
Gaal mein jab ye paan dabaave
Gaal mein jab ye paan dabaave
Teen taal mein chalte jaave
Baat Banarasiya..
Haaye baat Banarasiya
Baat Banarasiya aa...

Thaathon mein thaath Banarasiya
Haaye haaye thaath Banarasiya
Thaathon mein thaath Banarasiya
Haaye haaye thaath Banarasiya
Thaath Banarasiya, haye haye haye
Thaath Banarasiya

Rang mein bhang yaa bhang mein rang
Banarasiya.. haaye Bana Rasiya
Sang mein jung yaa jung mein sang
Banarasiya.. haaye Bana Rasiya
Banarasiya.. haaye Bana Rasiya
Banarasiya.. haaye Bana Rasiya


Raanjhana Song - Tu Mun Shudi

Song: Tu Mun ShudiMovie: Raanjhana (2013)Singers: Rabbi Shergill, AR RahmanMusic: A. R. RahmanLyricist: Irshad Kamil


Raanjhana Song - Tu Mun Shudi


Hey... Say...
Tu mun shudi, tu mun shudi
Mun tu shudam, tu mun shudi (x2)
(These are Persian lines from Hazrat Amir Khusro's Sufi Love Kalam, lines mean:
"You've become me, You've become me"
I've become you, you've become me.)


Rang le rangeele ne ladke bade, haan!
Rehnde hawawan di ghodi te chadhe
Hai nidar dil da safar
Ho nidar dil de humsafar
Rajj ke...
Humse wafayein lena
Taaza hawayein lena
Humse wafayein lena
Tu mun shudi, tu mun shudi
Mun tu shudam, tu mun shudi

Tadpe kyun tu, ainve talab se
Naino se pee ya tu pee lab se
Par na tu jhootha pyar kari
Yaar dari Rab se

Changi saugaatein
Hain sacchi mulaqaatein
Muhabbaton ki baatein
Bol dil ye dilbar kab se

Tu mun shudi, tu mun shudi
Mun tu shudam, tu mun shudi
Humse wafayein lena
Taaza hawayein lena

Tere layi hum chaand khareedenge
Haan, Bungla na denge
Par chain ko la denge
Sab aunde saanu ehoje kartab ne...

Humse wafayein lena
Taaza hawayein lena (x2)

Haan dil ke qisse mein
Jo din hai hisse mein
Laaye jaayenge, paayein jaayenge laayenge
Woh dil se..
Hata de fikrein
Bhula de fikrein
Jala de fikrein

Yaara sang aa aa jahaan khwaabon ka dunga
Jisme hoga sab zinda
Shehar bhi dil ke maaninda
Khulkar saansein lega baashinda

Tu mun shudi, tu mun shudi
Mun tu shudam, tu mun shudi... (x3)

Humse wafayein lena
Taaza hawayein lena
Dilli duaayein lena
Sansad ki raahein lena
Badli fizaayein lena
Sacchi adaayein lena
Humse wafayein lena
Taaza hawayein lena
Hey!


Raanjhanaa Song - Raanjhanaa

Song: Raanjhanaa (Title)Movie: Raanjhanaa (20130)Singers: Shiraz Uppal and Jaswinder Singh
Music: A. R. RahmanLyricist: Irshad Kamil


Raanjhanaa Song - Raanjhanaa


O...
Aaja aaja dil ke gaaon
Raahein dekhe koi
Jaagegi phir kismat sohne
Jaagegi phir kismat sohne
Thi ab tak jo soyi...

Hua chaaron ore shehnaai shor
Tu meri ore chal nikla
Chadhi prem lor, O dil ke chor
Kar meri bhor, ab mukh dikhla

Raanjhanaa hua main tera
Kaun tere bin mera
Rounaqein tumhi se meri
Kaun tere bin mera
Tera hai chaar chuphera
Kaun tere bin mera
O.. kaun tere bin mera

Hua chaaron ore shehnaai shor
Tu meri ore ab chal nikla
Chadhi prem lor, O dil ke chor
Kar meri bhor, ab mukh dikhla

Tan thirke thirke
Man behke behke
Tera kehke kehke khudko
Mere dil ki baat jaane qaaynaat
Tere dil ki khabar bas mujhko (x2)

Aaana baatein pyaar ki laana
Aana thoda pyaar jataana
Raanjhanaa hua main tera...
Kaun tere bin mera
O.. kaun tere bin mera

Rang bikhra bikhra
Sab nikhra nikhra
Jaayein jidhar jidhar ye naina
Mujhe khud pe naaz
Hua pagla aaj
Raha apne hi bas hoon main naa (x2)

Aana mujhe bas kar lena
Aana jaa has kar lena

Hua chaaron ore shehnaai shor
Tu meri ore chal nikla
Chadhi prem lor, O dil ke chor
Kar meri bhor, ab mukh dikhla

Raanjhanaa hua main tera
Kaun tere bin mera
Rounaqein tumhi se meri
Kaun tere bin mera
Tera hai chaar chuphera
O.. kaun tere bin mera

Hua chaaron ore shehnaai shor
Tu meri ore chal nikla
Chadhi prem lor, O dil ke chor
Kar meri bhor, ab mukh dikhla..


Raanjhanaa Song - Tum Tak

Song: Tum TakMovie: Raanjhanaa (2013)Singers: Javed Ali, Keerthi Sagathia, Pooja AVMusic: A. R. RahmanLyricist: Irshad Kamil


Raanjhanaa Song - Tum Tak


O...
Meri har man maani bas tum tak
Baatein bachkaani bas tum tak
Meri nazar deewani bas tum tak
Mere sukh-dukh aate jaate saare-
Tum tak, tum tak, tum tak, sohne yar!
Tum tak, tum tak, tum tak, sohne yar!

Tum tak tum tak arzi meri
Phir aage jo marzi
Tum tak tum tak arzi meri
Phir teri jo marzi meri
Har dushwaari bas tum tak
Meri har hoshiyaari bas tum tak
Meri har taiyari bas tum tak
Tum tak, tum tak, tum tak, tum tak
Meri ishq khumaari bas tum tak...
Aa...

Ik tak ik tak, naa tak.. gum sum
Naazuk Naazuk dil se hum tum....
Tum... tum tum tum tum tum tum!
Tum chaabuk naina maaro
Maaro tum tum tum tum tum tum!
Tum... maaro na naina tum
Maaro na naina tum

Tum tak..

Chala hoon tum tak
Chalunga tum tak
Mila hoon tum tak
Milunga tum tak (x2)

Tum tak, tum tak, tum tak,
Tum tak, tum tak, tum tak, tum tak
Oooooo.....
Tum tak, tum tak, tum tak,
Tum tak, tum tak, tum tak, tum tak

Haa ukhda ukhda
Mukhda mukhda
Mukhde pe naina kaale

Ladte ladte lade, badhte badhte badhe
Haan apna sajna kabhi, sapna sajna kabhi

Mukhde pe naina daale...
Naino ki dhaak le ja
Naino ki naiyya
Patwaar tu hai meri
Tu khevaiyya
Jaana hai paar tere
Tu hi bhanwar hai
Pahunchegi paar kaise
Naazuk si naiyya

Tum tak, tum tak, tum tak, sone yar!
Tum tak, tum tak, tum tak, sone yar!

Tum tak tum tak arzi meri
Phir aage jo marzi
Tum tak tum tak arzi meri
Phir teri jo marzi meri
Har dushwaari bas tum tak
Meri har hoshiyaari bas tum tak
Meri har taiyari bas tum tak
Tum tak, tum tak, tum tak, tum tak
Meri ishq khumaari bas tum tak...
Aa...

Tum tak, tum tak, tum tak,
Tum tak, tum tak, tum tak, tum tak
Oooooo.....
Tum tak tum tak tum tak
Oooooo.....

Meri akal deewani tum tak
Meri sakal jawani tum tak
Meri akal deewani tum tak
Meri sakal jawani tum tak
Meri khatam kahani tum tak
Meri khatam kahani bas tum tak

Tum tak, tum tak, tum tak, tum tak...

Tum tak tum
Tum tak tum
Tum tak tum

Hmmm......


Bhaag Milkha Bhaag Song - O Rangrez

Song: O RangrezMovie: Bhaag Milkha Bhaag (2013)Singer: Javed Bashir, Shreya GhoshalMusic: Shankar-Ehsaan-LoyLyricist: Prasoon Joshi


Bhaag Milkha Bhaag Song - O Rangrez

O rangrez...
O rangrez tere rang dariya mein
O rangrej tere rang dariya mein
Doobna hai bas tera banke
Haaye nahin rehna dooja banke

Ek bhi saans alag nahin leni
Ek bhi saans alag nahin leni
Khench lena praan is tan ke
Haaye.. nahin rehna dooja banke

Apne hi rang mein mujhko rang de
Dheeme dheeme rang mein mujhko rang de
Saundhe-saundhe rang mein mujhko rang de
Rang de na, rang de na, rang de na.. aa.. (x2)

Ghunghroo hai tu main to hoon paaon piya
Jha na na na nan..
Peepal tu main toh hoon chaaon piya
Tabhi hoon magan

o.. naino mein bas chhab teri lehraaye
Jhalke chalke chalke re
Barse halke halke
Apne hi rang mein

Ho.. Apne hi rang mein mujhko rang de
Dheeme dheeme rang mein mujhko rang de
Saundhe-saundhe rang mein mujhko rang de
Rang de na, rang de na, rang de na..

Maala mein aa tujhko piro loon
Tujhe pehanu sajan
Hothon mein aa sargam sa bolun
Tujhe rat loon sajan

Sajan tees meri pees de mujh mein hi
Ghul ja, mill ja, mill ja sajnaa
Pighal ke mill ja, mill jaa..
Apne hi rang mein.. ho..

Ho.. Apne hi rang mein mujhko rang de
Dheeme dheeme rang mein mujhko rang de
Saundhe-saundhe rang mein mujhko rang de
Rang de na, rang de na, rang de na..

Ni dha pa..
O Rangrez (o Rangrez..)
O Rangrez tere rang dariya mein
O Rangrez tere rang dariya mein
Doobna hai bas tera bann ke
Haaye nahi rehna dooja bann ke

Apne hi rang mein mujhko rang de
Dheeme dheeme rang mein mujhko rang de
Saundhe saundhe rang mein mujhko rang de
Rang de na, rang de na, rang dena aa.. (x2)


Tuesday, 14 July 2015

Bhaag Milkha Bhaag Song - Slow Motion Angreza

Song: Slow Motion AngrezaMovie: Bhaag Milkha Bhaag (2013)Singers: Sukhwinder Singh, Loy Mendonsa, Shankar MahadevanMusic: Shankar-Ehsaan-LoyLyricist: Prasoon Joshi


Bhaag Milkha Bhaag Song - Slow Motion Angreza

I just met a girl
And she is from wulu-mulu wulu-mulu wonda
I can dance and she can sing
We can rock the whole night longer (x2)

Wulu-mulu wulu-mulu wonda
Wulu-mulu wulu-mulu (x2)
Sing...!

Wulu-mulu wulu-mulu wonda
Wulu-mulu wulu-mulu (x2)

Hooo...
Dhin dana din din....

Ho slow motion angreza
Hun kyon time ganwaye
Ho slow motion angreza
Hun kyon time ganwaye
Seedhe baahon mein bhar le
Sarsari kyon badhaye
Meri whiskiye, meri tharriye
Tu menu chadh gayi, meri soniye
Roko naa, toko naa
Ho.. mujhko peene do raj ke

Ghul-mill, ghul-mill launda
Ghul-mill, ghul-mill (x2)
Sing....!

Wulu-mulu wulu-mulu wonda
Wulu-mulu wulu-mulu (x2)

Raat badhti jo jaaye
Haath kya kya tatole
Jhooth bole zubaan bhi
Dharm imaan doley... haaye (x2)

Tu jo dariya mein utrey
Saara paani gulabi, haaye!
Ho tu jo dariya mein utrey
Sara paani gulabi
Talli talli ho lehrein
Machhliyan bhi sharabi
Meri whiskiye, meri tharriye
Tu menu chadh gayi, meri soniye
Roko na, toko na
Ho.. mujhko peene de raj ke

Ghul-mill, ghul-mill launda
Ghul-mill, ghul-mill (x2)
Sing...!

Wulu-mulu wulu-mulu wonda
Wulu-mulu wulu-mulu (x2)

Ho kaanch si hai tu naazuk...
Kaanch si hai tu naazuk
Saans lena sambhal ke
Toot jaaye kahin naa
Bas karvat badal ke
(Hooo.. love you lady)

Tujhko meri zarurat
Aa main tujhko utha lu
Tujhko meri zarurat
Aa main tujhko utha lu
Dheere dheere se chalna
Apni aadat bana lu

Meri whiskiye (whiskiye)
Meri tharriye (tharriye)
O menu chadh gayi (chadh gayi)
Meri soniye
Roko naa, toko naa
Ho.. mujhko peene de rajj ke

Ghul-mill, ghul-mill launda
Ghul-mill, ghul-mill (x2)
Gaao!

Wulu-mulu wulu-mulu wonda
Wulu-mulu wulu-mulu (x2)

Wulu-mulu wulu-mulu wonda!
Ghul-mill, ghul-mill.... Launda!


Bhaag Milkha Bhaag Song - Ab Tu Bhaag Milkha Bhaag

Song: Ab Tu Bhaag Milkha BhaagMovie: Bhaag Milkha Bhaag (2013)Singer: Arif Lohar | Siddharth MahadevanMusic: Shankar-Ehsaan-LoyLyricist: Prasoon Joshi


Bhaag Milkha Bhaag Song - Ab Tu Bhaag Milkha Bhaag


Arey santee maar raha sansaar
Ab tu aane de lalkaar
Teri to baahein patwaar
Kadam hai tere hahakaar
Teri nas-nas loha taar
Tu hai aag milkha
O bas tu bhaag milkha
Arey chhod de beete kal ki bori
Kaat de rassi sutli dori
Tujh se poochhegi ye matti
Karke saans saans ko bhatti
Ab tu jaag milkha
Bas tu bhaag milkha

O sariya, o.. kashti
O sariya o sariya
Oye mod de aag ka dariya
Kashti o kashti 
O soob jaane mein hi hai hasti

Ho jungle, ho jungle
Aaj shehron se hai tera dangal
Ab tu bhaag-bhaag, bhag bhag bhag Milkha
Ab tu bhaag Milkha...

Dhuaan dhuaan dhamkaaye dhool
Raah mein raane baan-shool
Taan le armaanon ke chaaku
Mushkile ho gayi saari daaku
Tu ban ja naag-naag, naag naag naag Milkha
Ab tu bhaag Milkha...

Tera to bistar hai maidaan
Odhna dharti teri shaan
Tere sarhaane hai chattan
Pahen le poora aasmaan
Tu pagdi baandh Milkha

Ab tu bhag Milkha, bhag Milkha, bhag Milkha
Ab tu bhaag-bhaag, bhag bhag bhag Milkha
Ab tu bhaag Milkha

Ho bhanwar bhanwar hai
Chakkar, chakkar, chakkar
Godi mein uthaaya maa ne
Chakkar chakkar chakkar
Godi mein uthaaya baapu ne
Chakkar chakkar chakkar chakkar
Bhanwar bhanwar hai, aaj khel tu
Bhanwar ko khel bana de
Aandhiyaan rail bana le
Patkhani de uljhan ko
Cheekh bana de sargam ko
O chakkar o chakkar
O chakkar chakkar chakkar

Utaar ke phenk de sab janjaal
Beete kal ka har kankaal
Tere talve hai teri naal
Tujhe to karna hai har haal
Ab tu jaag Milkha, jaag Milkha, jaag Milkha
Ab tu bhaag Milkha

Khol tu rath ke pahiye khol
Banaa ke chakkar sudarshan gol
Jung ke feete kas ke baandh
Khuli hai aaj sher ki maang
Tu goli daag Milkha, daag Milkha, daag Milkha
Ab tu bhag-bhag, bhag bhag bhag Milkha
Ab tu bhaag Milkha

Daant se kaat le bijlee taar
Chaba le taambe ki chhankaar
Phoonk de khud ko jwaala-jwaala
Bin khud jale hoye naa ujaala
Lapat hai aag Milkha, aag Milkha, aag Milkha

Ab tu bhaag Milkha
Ab tu jaag Milkha
Tu ban ja naag Milkha
Tu pagdi baandh Milkha
Tu goli daag Milkha
Oh tu hai aag Milkha
Oh tu bhaag Milkha
Ab tu bhaag-bhaag, bhag bhag bhag Milkha
Ab tu bhaag Milkha


Bhaag Milkha Bhaag Song - Maston Ka Jhund

Song: Maston Ka JhundMovie: Bhaag Milkha Bhaag (2013)Singer: Divya KumarMusic: Shankar-Ehsaan-LoyLyricist: Prasoon Joshi


Bhaag Milkha Bhaag Song - Maston Ka Jhund


Oye hawan kund, maston ka jhund

Oye hawan kund, maston ka jhund

Oye hawan kund, maston ka jhund
Sunsaan raat
Ab aisi raat
Rakh dil pe haath
Hum saath saath
Bolo kya karenge...
Havan karenge, havan karenge, havan karenge
Havan karenge, havan karenge, havan karenge (x2)

Oye jeev-jantu sab so rahe honge
Oye jeev jantu sab so rahe honge
Bhoot-pret sab ro rahe honge
Aisi raat sunsaan raat
Rakh dil pe haath
Hum saath saath bolo kya karenge
Hawan karenge, hawan karenge, hawan karenge
Hawan karenge, hawan karenge, hawan karenge

Nahaata (ui) dhota (ui)
Nahaata, dhota, sukhata
Saare (ui) Order (ui)
Saare order bajaata
Parade tham..
Nahaata, dhota, sukhata (aaho..)
Saare order bajaata (aaho..)
Tabhi toh fauji kehlata
Parade tham..

Hoye daud daud ke loha apna
Ho.. daud daud ke loha apna
Hoye daud daud ke loha apna
Badan karenge, badan karenge, hawan karenge
Oye hawan kund maston ka jhund
Sunsaan raat 
Ab aisi raat 
Rakh dil pe haath
Hum saath-saath
Bolo kya karenge...
Hawan karenge, hawan karenge, hawan karenge
Hawan karenge, hawan karenge, hawan karenge

Oye jeev-jantu sab so rahe honge
Oye jeev jantu sab so rahe honge
Bhoot pret sab ro rahe honge
Aisi raat sunsaan raat
Rakh dil pe haath
Hum saath saath bolo kya karenge
Hawan karenge, hawan karenge, hawan karenge
Hawan karenge, hawan karenge, hawan karenge

O junglee aag si...
Bhadakti hogi...
Oye jungli aag si bhadakti hogi
Oye lakdi dil ki bhi sulagti hogi
Oye jungli aag si bhadakti hogi
Lakdi dil ki bhi sulagti hogi

Aisi raat sunsaan raat
Rakh dil pe haath
Hum saath saath bolo kya karenge
Hawan karenge, hawan karenge, hawan karenge
Hawan karenge, hawan karenge, hawan karenge
Hawan karenge, hawan karenge, hawan karenge
ooi..

Bhaag Milkha Bhaag Song - Mera Yaar

Song: Mera YaarMovie: Bhaag Milkha BhaagSinger: Javed BashirMusic: Shankar-Ehsaan-LoyLyricist: Prasoon Joshi


Bhaag Milkha Bhaag Song - Mera Yaar

Mera yaar hai Rab warga

Dildaar hai Rab warga (x2)

Ishq karoon ya karoon ibaadat
Ishq karoon ya karoon ibaadat
Ikko hi gal ai..
Alif Allah, Alif Allah, Alif Allah hooo...

Main Mandir kyun jaava
Mera yaar khuda hai
Main Masjid kyun jaava
Mera yaar khuda hai (x2)

Mere pairon mein Bhagra
Saanson mein tappe tappe
Main ishq tarane gaaun chappe chappe

Ishq karoon ya karoon ibaadat
Ishq karoon ya karoon ibaadat
Ikko hi gal ai..
Alif Allah, Alif Allah, Alif Allahhooo...

Woh noor ka jharna hai
Main pyaas puraani
Maine aankh se gatak liya uss husn ka paani (x2)

Usey takte takte takte umr guzaarun
Koi aur khayal jo aaye jhat se utaarun

Ishq karoon ya karoon ibaadat
Ishq karoon ya karoon ibaadat
Ikko hi gal ai..
Alif Allah, Alif Allah, Alif Allah hooo...

Maine ishq itar pehna
Main khushboo, khushboo
Ab wohi mehakta hai, mere bheetar har su (x2)

Mere pairon mein Bhagra
Saanson mein tappe tappe
Main ishq tarane gaaun chappe chappe

Ishq karoon ya karoon ibaadat
Ishq karoon ya karoon ibaadat
Ikko hi gal ai..
Alif Allah, Alif Allah, Alif Allah hooo...

Bhaag Milkha Bhaag Song - Zinda Hai Toh

Song: Zinda Hai Toh Movie: Bhaag Milkha Bhaag (2013)Singer: Siddharth MahadevanMusic: Shankar-Ehsaan-LoyLyricist: Prasoon Joshi



Bhaag Milkha Bhaag Song - Zinda Hai Toh


Zinda, hain toh, pyala, poora bhar le
Kancha, phoote, choora, kaanch kar le

Zindagi ka ye ghada le
Ek saans mein chadha le
Hichkiyon mein kya hai marna!
Poora mar le...

Koyla kaala hai
Chattanon ne paala
Andar kaala, baahar kaala
Par saccha hai saala (x2)

Zinda, hai toh, pyala, poora bhar le
Kancha, phoote, choora, kaanch kar le

Kancha, phoote, choora, kaanch kar le

Uljhe kyun pairon mein ye khwaab
Kadmon se resham kheench de
Peeche kuch na aage ka hisaab
Iss pal ki kyaari seench de

Aag zubaan pe rakh de
Phir chot ke hoth bhigaayenge
Ghaav gungunayenge
Tere dard geet bann jaayenge

Zinda, hai toh, pyala, poora bhar le
Kancha, phoote, choora, kaanch kar le
www.lyricsmint.com
Zindagi ka ye ghada le
Ek saans mein chadha le
Hichkiyon mein kya hai marna!
Poora mar le...

Koyla kaala hai
Chattanon ne paala
Andar kaala, baahar kaala
Par saccha hai saala (x2)


D-Day Song - Dhuaan

Song: DhuaanMovie: D-Day (2013)Singers: Rahul Ram, Siddharth Mahadevan, Alyssa MendonsaMusic: Shankar, Ehsaan, LoyLyrics: Niranjan Iyengar


 D-Day Song - Dhuaan


Na raha kahin
Yaadon ka karvaan
Bik chuka yunhi
Hone ka har nishaan

Kyun bhooli inhe zameen
Kyun bhoola ye aasmaan
Na jaane ye kho gaye kahaan

Rang khwabon ke jinke khoon se range
Raste naye, junoon se bane
Kyun bhooli inhe zameen
Kyun bhoola ye aasmaan
Na jaane ye kho gaye kahaan

Sitare bhi jinko na de sake panaah
Kahaani ye unki jinhe bhoole do jahaan
Humne kar diya jinhe dhuaan

Maangna nahin bas dena hai jinki zubaan
Loot kar jinhe humne baandha hai ye samaa
Jo bhooli inhein zameen
Jo bhoola ye aasmaan
Na kehlayenge hum insaan

Sitare bhi jinko na de sake panaah
Kahani ye unki jinhein bhoole do jahaan
Humne kar diya jinhein dhuaan (x2)

Kyun humne kar diya unhein dhuaan
Kyun humne kar diya...